TAKLEEF DE MUBASHRAT (PAINFULL INTERCOURSE)
TAKLEEF DE MUBASHRAT
(PAINFULL INTERCOURSE)
Aam
haalaat mein mubashrat ek bohut hi purlutf amal hai jis sey donon mian
biwi bey panaah lazzat aur sukoon hasil kartey hain agarcha pehli
mubashrat amooman donon mian biwi kay liye kuch takleef ka baa'iss hoti
hai khusoosan dulhan zyada takleef mehsoos karti hai aur agar parda e
bakarat (hymen) phatey to zakhm ko mundamil honay mein chund din lag
jatey hain. Iss tarah pehli chund mubashratein aurat kay liye kuch
takleef deh hoti hain, uss kay ba'ad lutf hi lutf, magar ba'az khwateen
ko iss kay ba'ad bhi mubashrat mein takleef hoti hai dard amooman kisi
jismani kharabi ko zahir karta hai. Iss surat mein pehley marhaley mein
kisi achi doctor sey apna tafseeli mua'aina karwaein orgasm hasil na
karney kay ba'ad khawateen ki yeh doosri aam jinsi beemaari hai. Takleef
deh mubashrat ki ek wajah ek beemari bhi hai iss beemaari mein aurat
mubashrat mein takleef mehsoos karti hai iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti
hain maslan faraj mein infection ho, mubashrat kay waqt faraj mein
chiknahat ki kami bhi ek wajah hoti hai. Iss ka sabab yeh hota hai kay
aurat kay jinsi jazbaat poori tarah nahin ubhrey hotey aisi surat mein
biwi kay jinsi jazbaat ko khoob ubhara jaey jab jazbaat khoob ubhar
jatey hain to faraj mein zyada chiknahat ho jati hai phir dakhool aur
mubashrat aasaan ho jati hai. Ta'hum mubashrat ko mazeed aaraam deh
bananey kay liye masnoo'ee chiknahat ko bhi istaemal kiya jaey maslan.
EHTIYATI TADABEER:
Khawand
mubashrat kay waqt zakar ko chikna karey to phir mubashrat mein dard na
hoga. Ba'az auqaat condom kay ooper laga hua chemical ya koi cheez
maslan sabun waghaera allergy ka sabab ban jata hai jis sey mubashrat
mein takleef hoti hai aisi surat mein inn ka istaemaal bund kar kay
dekhein ba'az auqaat kisi wajah sey bacha daani, bacha daani kay mu'nh
ya qazif naaliyon mein infection ya tumor hota hai jo kay dard ka sabab
banta hai. Iss kay elawa bachay ki paeda'esh kay ba'ad bachey daani mein
zakham ki wajah sey bhi mubashrat takleef deh ho sakti hai umar kay
barhney ki wajah sey faraj mein ratoobat ki kami aur faraj ki deewaarein
patli ho jati hain to mubashrat mein dard hota hai. Ta'hum jab bhi
mubashrat mein dard ho to kisi achi doctor sey raabta karein muaaeney
kay waqt usey bataein kay mubashrat kay kis marhaley mein aur kis jagah
dard hota hai.
Takleef deh mubashrat mein amooman teen maqamaat per dard hota hai.
- Faraj (vagina) kay dahaney mein yani dakhool kay waqt.
- Gehrey dakhool mein stroke lagatey huey.
- Bazer (clitoris) mein.
Agar
dard faraj kay dahaney mein hota hai to iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti
hain maslan infection, zakham aur allergy waghaera agar faraj ka dahana
humesha bohut hassas hota hai aur iss mein budbuu daar mawad zyada
miqdaar mein nikalta hai to yeh koi khatarnaak beemaari ho sakti hai iss
surat mein fori tor per doctor sey raabta kya jaey. Ba'az auqaat
shadeed jinsi jazbaat ki wajah sey faraj kay dahaney mein zyada khoon
chala jata hai jis sey faraj ka mu'nh sooj kar tung ho jata hai aur
mubashrat takleef deh ho jati hai aisi surat mein jinsi jazbaat ki
shiddat zyada honay sey pehlay dakhool ho jaey iss kay elawa agar bazer
ko mushta'il kya jaey to faraj ka dahana tung ho jata hai aur agar faraj
ko mushta'il kya jaey to faraj relax ho jati hai. To iss surat mein
foreplay mein bazer ki bajaey faraj ko mushta'il kya jaey to faraj relax
hogi aur mubashrat takleef deh na hogi. Doosri surat mein gehrey
dakhool mein jhatkey lagtey waqt aurat ko takleef hoti hai iss ki ek
aam wajah yeh hoti hai kay ba'az positions mein zakar bacha daani ya
bacha daani kay mu'nh ko zarab lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti
hai agar jinsi jazbaat poori tarah na ubhrey hun to ba'az khawateen ko
gehrey dakhool mein ba'az auqaat takleef hoti hai aur kabhi baeza daani
faraj ki pichli deewar aur bacha daani kay darmiyan aa jati hai jis ki
wajah sey zakar kay stroke sey uss per daba'u parta hai jis sey
mubashrat takleef deh ho jati hai. Ba'az aurton ki faraj baeza raezi kay
waqt zyada hassas ho jati hai aur phir gehrey dakhool mein aurat
takleef mehsoos karti hai iss kay elaj kay liye mubashrat ki woh
position tark kardein jo takleef ka baa'iss ho iss kay elawa doctor sey
bhi raabta kya jaey. Ba'az khawateen ko bazer ko mushta'il karney sey
sukht takleef hoti hai agar yeh dard haal hi mein shuru hua ho to bazer
aur uss kay dhakney ko achi tarah khud check kar lein iss kay liye
aa'eney ko istaemaal karein agar yeh surkh aur sooja hua hai to shayad
khawand ya zaati ishte'aal ki wajah sey wahan zakhan ho gaya hai aur woh
sooj gaya hai. Iss surat mein ek hafta sex aur foreplay sey perhaez
karein to yeh theek ho jaey ga warna doctor ko dikhaein. Bazer kay dard
ki ek bari wajah chiknahat kay baghaer isey mushta'il karna hai le'haza
isey aa'enda humesha chiknahat kay sath hi mushta'il kya jaey. Ta'hum
orgasm kay ba'ad aksar aurton ka bazer bohut hassas aur takleef deh ho
jata hai. Yeh bilkul normal cheez hai agar bazer per koi zakham ho to
foran kisi doctor ko dikahein. Agar do teen doctors kay mua'aeney kay
ba'ad koi jismani wajah samney na aaey to phir iss masley ki wajah
nafsiyati ya jazbaati hoti hai amooman aisi aurtein apni jinsi zindagi
sey ghaer mutmain hoti hain. Jinsi dilchaspi mein kami ya adam dilchaspi
bhi ek wajah ho sakti hai. Ba'az khawateen mu'aashirey mein phaeley
huey jinsi mughalito'n ki wajah sey bhi shadeed khauf ka shikaar ho jati
hain aur iss khauf mein faraj ka mu'nh tung ho jata hai jis ki wajah
sey mubashrat takleef deh ho jati hai aisi surat mein kisi achey
mahir-e-nafsiyat sey elaj ki zaroorat hai.
No comments:
Post a Comment