(Sexual Life In Islam)
Islam ek mukammal zabta e hayat hai jiss ney apney paero kaaro'n ko
zindagi kay har shobey mein rehnumaee fraham ki hai. "Jinsi Zindagi"
(sexual life) insaani zindagi ka ahem tareen pehlu hai. Chunancha Allah
ney Hazrat Adam kay sath Amma Hawwa ko paeda farmaya. Quran Majeed
mein irshad hai kay, "uss ney tumharey liye tumhari hi jins sey
biwiya'n bana'een ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo" (Surah
Rome Ayat 21) Isi liye Allah kay nabi ney farmaya kay nikah meri sunnat
hai jiss ney iss per amal na kiya woh hum mein sey nahin. Hazrat
Muhammad ney ek aur jagah farmaya "Allah haq baat kehney sey nahin
sharmata". Chunancha Quran mein jinsi zindagi kay ahem usolo'n maslan
shaadi (marriage), mubashrat (intercourse), mubashrat kay tariqey (sex
positions), mani (seminal fluid), rehem e madar, haez (menses), hamal
(pregnancy) aur uss kay mukhtalif adwaar, bachey ki paeda'esh, zina
(adultery) aur hum jinsiyat (homosexuality) waghaera ka zikr hai.
Doosri taraf Allah kay nabi ney bhi bari tafseel kay sath jinsi zindagi
kay mukhtalif pelu per roshni daali hai. Bud qismati sey hum mein sey
aksar log iss sey aagaah nahin. Khushgawar azdawaji zindagi kay liye ilm
ki zaroorat hai. Kisi ney khoob kaha hai kay 'Knowledge is power and
sexual knowledge is super power' chunancha merey khayal mein Pakistan
mein har fard ko jinsi ta'aleem ki zaroorat hai.
No comments:
Post a Comment