Mubashrat (Intercourse) In Islam In urdu
Azdwajii
zindagi ki buniyad mubashrat (Intercourse) hai. Allah kay nabbi Hazrat
Muhammad(P.B.U.H) nai jaiz tareeqai sey jinsi khwahish ki takmeel ko
sadqa aur naiki qarar diya hai. Jiska zojain ko sawab milta hai. (Sahi
Muslim)
Pakistani
muashrey mein yeh bat bohut famous hai kay khawateen kay liye mubashrat
(Intercourse) aik bohut painful amal hai. Jiski wajha sey aksar
khawateen jinsi amal sey khauf zada hoti hain. Yeh khawateen mubashrat
(Intercourse) sey lutf andooz nahi hotin aur apnai husband kay sath
cooperate nahi Karti. Jo biwi mubashirat mein apnai husband kay sath
tawun na karai Allah kay nabbi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ershad kay
mutabiq fareshtai sari rat usper lanat bhaijtain hain. (Muslim, Bukhari,
Nesai)
Buniyadi tor per mubashrat (Intercourse) husband wife dono kay liye
bohut hi lutf aur sukoon daina wala amal hai. Quran mein ershad hai
"Esnai tumhari hi jins sey tumharai liye jorai paeda karai taqai enkai
sath milkar tum sukoon aur etminan hasil karoo" (Surah Rom Ayat 21)
Agarcha shuru mein aik aad bar hymen kay rupture honay ki wajha sey
khawateen ko kuch pain hota hai. Albatta baaz khawateen ko mubashrat
(Intercourse) mein takleef (pain)hoti hai jo kay aik beemari hai jissai
Dyspareunia kaha jata hai. Eski wajha ya to mubashrat (Intercourse) ka
khauf hota hai yeh phir wajaina mein infection waghaira. Baaz auqat
aurat mubashrat (Intercourse) kay liye puri tarhan tayar nahi hoti jiski
wajha sey iss kay vagina mein lubrication nahi hoti. Chunancha aurat
mubashrat (Intercourse) mein takleef mehsoos karti hai.
Es tarhan kabhi kabhar hymen mukammal tor per rupture nahi hota, essai
bhi takleef hoti hai. Iss kay elawa vagina yeh vulva mein koi allergy
yeh infection bhi hosakta hai. Usually mubashrat (Intercourse) koi
takleefdai process nahi hai. Agar biwi mubashrat (Intercourse) kay doran
pursukoon aur relax rahey to lutf aiga. Taham baaz auqat deep dakhool
(penetration) aur zoor daar strokes bhi takleef ka sabab bantai hain.
Usually mubashrat (Intercourse) ka pain pahla Chund martaba kay
mubashrat (Intercourse) mein hota hai. Iss kay baad lutf hi lutf.
(Mobeen).
Mubashrat (Intercourse) Ka Sharaee Tariqa:
Mubashrat (Intercourse) kay bohut sey famous tareeqai hain. Famous
method missionary tareeqa hai. Iss mein wife neechey jabkai husband
ooper hota hai. Iss mein dakhool (penetration) easy hai magar iss mein
penis bazer (Clitoris) ko touch nahi karta jiski wajha sey aurat zyada
lutf andooz nahi hoti. Yeh tareeqa pre-mature inzaal (ejaculation) kay
liye bhi munasib nahi. Hamara yaha yeh tareeqa hi sab sey zyada use hota
hai. Baaz log jahalat ki wajha sey esko Islami tareeqa qarar daitain
hain jiski wajha sey bohut si khawateen apnai husband ko mubashrat
(Intercourse) ka koi dusra method use Karney nahi daitin. Halankay
Hazrat Muhammad(P.BU.H) nai kisi tareeqai ko Islami tareeqa qarar nahi
diya. Aurat kay zyada jinsi lutf kay liye mard neechey aur aurat ka
ooper wala tareeqa zyada mufeed hai. Iss mein aurat apni marzi sey bazer
(Clitoris) ko penis kay sath rub kar sakti hai aur pre-mature inzaal
(ejaculation) kay liye bhi yeh tareeqa mufeed hai.
Orgasm OrJinsi Lutf Ki Inteha | ||||||
Madina
mein shuru shuru mein missionary tareeqey kay elawa doosrey tareeqey
raij nahi thay. Hazrat Jabir biyan kartey hain kay yahoodion ka kehna
hai kay agar koi shohar apni biwi kay peechey ki taraf reh
kar mubashrat (Intercourse) karey to iss surat mein bhaenga bacha paeda
hoga chunancha "Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish
kay mutabiq apni khaition mein jao". Agar koi chahey to peechey ki taraf
reh kar bhi mubashrat kar sakta hai lekin mubashrat sirf ek rastey
faraj sey honi chahiyie. (Muslim) yahoodion kay asar ki wajah sey Madina
mein ansar missionary method kay elawa doosrey methods ko jaeiz nahi
samajhtey thay, Yahan tak kay Quran mein ayat nazil hui. 'Tumhari biwian
tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein
jao' (Surah Baqra Ayat 223) albatta anus mein dakhool (penetration)
haram hai.
Orgasm (Sexual Climax):
Jinsi
lutf ki intiha ko orgasm kaha jata hai. Mard aur aurat kay orgasm mein
farq hai. Mard ka orgasm kay foran baad inzal (discharge) ho jata hai
jab kay aurton ka mardon ki tarhan discharge nahi hota. Albatta 5%
aurtein pani kharij karti hain. Mard orgasm ki hadd tak jald pohonch
jata hai aur iss ka duration bhi kam hota hai aur woh jald normal halat
mein aa jata hai. Jab kay aurat der sey orgasm hasil karti hai aur iss
ka orgasm der tak rehta hai. Iss ko normal honay mein bhi zyada waqt
lagta hai. Ek bara farq yeh hai kay mard taqreeban har bar orgasm hasil
kar leta hai jab kay sirf 30% aurtein har bar orgasm hasil karti hain.
10% kabhi orgasm hasil nahi kartiin. Unko nafsiyati elaj aur baaz auqat
operation ki zarorat parti hai.
Mard
usually ek mubashrat (Intercourse) mein ek orgasm hasil karta hai jab
kay aurat ek mubashrat (Intercourse) mein ek sey zyada orgasm hasil kar
sakti hai. Ek experiment mein ek aurat ney 50 orgasm hasil karey. Iss
kay elawa mard usually pehley orgasm mein zyada lutf uthata hai jab kay
aurat doosrey, teesrey orgasm mein zyada lutf uthati hai. Hite kay
survey kay mutabiq agar chahein to tamam aurtein ek sey zyada orgasm
hasil karney ki salahiyat rakhti hain. Aurat mubashrat (Intercourse) ki
nisbat musht zani (masturbation) sey jald orgasm hasil kar leti hai.
(Hite: Hyde)
lehaza
aksar aurton kay orgasm kay liye zaroori hai kay husband ya biwi khud
mubashrat (Intercourse) kay doran bazer (Clitoris) ko finger sey
stimulate karey. Kyun kay hamarey yahan husband wife donon iss haqeeqat
sey aagah nahin jis ki wajah sey aurton ki ek big taadaad orgasm hasil
nahi karti jiski wajah sey inki jinsi zindagi khushgawar nahi hoti.
Aurat ka mubashrat (Intercourse) kay doran orgasm hasil karna zaroori
nahi bul kay aurat agar mubashrat (Intercourse) sey pehley ya mubashrat
kay baad dakhool (penetration) kay bajaey clitoral stimulation jo finger
sey bhi ho sakta hai, sey bhi orgasm hasil karey to bhi woh bharpoor
jinsi lutf hasil kar leti hai.
Aksar
mahireen kay mutabiq lutf kay lehaz sey vaginal aur clitoral orgasm
donon baraber hain magar Hite kay survey kay mutabiq vaginal orgasm ki
nisbat clitoral orgasm zyada lutf angaez hai. In other words aurat kay
jinsi lutf kay liye dakhool (penetration) zaroori nahi bul kay clitoris
ko kisi bhi cheez maslan finger sey stimulate kar kay bharpoor jinsi
lutf hasil kya ja sakta hai. Isi liye west mein 90% sey zyada khawateen
musht zani (masturbation) kay doran bazer (Clitoris) hi ko stimulate
karti hain. Vaginal orgasm ki soorat mein zaroori hai kay mard 5 ta 10
minute mubashrat (Intercourse) ko jari rakh sakey kyun kay aurat ko
orgasm kay liye dakhool (penetration) kay baad 5 minutes sey zyada fast
stroking ki zaroorat hai jab kay mardon ki bohut bari tadaad taqreeban
90% fitri tor per 2 ta 3.5 minutes sey zyada der tak mubashrat
(Intercourse) jari nahi rakh saktey. Lehaza aurat kay orgasm kay liye
bazer (Clitoris) ka stimulation zarori hai chahey finger sey hi kyun na
ho. Albatta baaz khawateen sirf pistaan kay ishteaal (Breast
Stimulation) sey bhi orgasm hasil kar leti hain aur kuch khawateen sirf
imagination sey hi orgasm hasil kar leti hain. Ek
aurat kay liye har bar orgasm hasil karna zaroori nahi hota. Bohut si
aurton kay liye qurbat ka ahsas, touch honay ka ahsas, hath phaerna aur
husband ki taraf sey foreplay zyada lutf angaez hota hai jis sey woh jinsi lutf aur sukoon hasil karleti hain. (Zakir).
How To Get Orgasm:
Aurton Kay Liye Har Bar Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?
Aam khayal hai kay khushgawar
azdawaji zindagi kay liye aurat ko mubashrat (Intercourse) mein har bar
orgasm hasil karna chahiyie jab kay haqeeqat mein aisa nahi. 1994 mein
America ki university ki ek research kay mutabiq sirf 33% sey kuch kam
aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Shaadi kay shuru mein yani
jawani mein aurtein kam orgasm hasil karti hain jab kay 30 saal kay baad
aurtein zyada orgasm hasil karti hain. Ek survey mein 50% khawateen ney
tasleem kya kay woh hamesha orgasm hasil nahi karti magar inki azdawaji
zindagi bey hudd khushgawar hai. Doosri taraf bohut si khawateen ney
bataya kay woh hamesha orgasm hasil karti hain magar inki azdawaji
zindagi bohut khushgawar nahi. Agarcha khushgawar azdawaji zindagi kay
liye orgasm zaroori hai magar sirf orgasm kafi nahi bul kay ek mohabbat
aur khayal rakhney wala insan bhi zaroori hai. (Zakir: Stefan)
Merey
ek client kay bhai ki shadi hui lekin biwi iss shadi sey mutmain na
thi, kyun kay wohorgasm hasil nahi karti thi. Baad mein iss aurat ka
bacha paeda ho gaya to merey client ney apni bhabhi sey tanziya kaha kay
tum to kehti thiin kay miyan mujhey mutmain nahi kar pata phir yeh
bacha kaisey paeda ho gaya. Ek research sey sabit hua hai kay bachey ki
paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Aurat
ki taraf sey sirf egg ki zaroorat hai aur egg kay ikhraj ka aurat kay
orgasm sey koi ta'alluq nahi. (Zakir)
Hamarey yahan aam logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf aur bachey ki paedaesh kay liye donon husband wife ka ek hi waqt jinsi urooj tak pohonchna zaroori hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Jinsi lutf kay liye donon ka orgasm hasil karna zaroori hai. Chahey husband wife mein ek pehley orgasm hasil karley aur doosra baad mein. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay liye sirf mard ka inzaal (ejaculation) zaroori hai. Agar aap ko betey ki khwahish hai to agar biwi pehley orgasm hasil karley to mufeed hai. Nabi Kareem Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay miyan biwi mein sey jiska pani ghalib aaey ga aulad iss per hogi. (Mashkawa) Ek aur research sey maloom hua kay woh aurtein jo mard sey pehley orgasm hasil karti hain (chahey tariqa koi bhi ho) woh sex sey zyada lutf andoz hoti hain. (Zakir)
La ilmi
ki wajah sey humarey yahan yeh baat mashhoor hai kay aurat
bhi mubashrat(Intercourse) mein mard ki tarhan mani (seminal fluid)
discharge karti hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Aurtein jab jinsi tor per
stimulate hoti hain to inki vagina geeli ho jati hai aur yeh iss cheez
ki alamat hai kay aurat mubashrat (Intercourse) kay liye tayyar hai aur
yeh secretion iss liye hoti hai kay dakhool (penetration) aasan ho aur
aurat aur mard ko mubashrat (Intercourse) mein takleef na ho. Magar
aurtein hargiz mardon ki tarhan orgasm mein mani (seminal fluid)
discharge nahi kartiin. Albatta 5% aurtein orgasm mein pani kharij karti
hain jo kay mani (semen) nahi hota. (Dastoor: Zakir)
Sexual Pleasure For MenJinsi Lutf Sirf Mardon Kay Liye:Aurtein Bhi Mubashrat Mein Mardon Ki Tarhan Mani Ka Ikhraj Karti Hain?
Humarey
yahan yeh baat bhi mashhoor hai kay jinsi lutf sirf mard kay liye hai.
Aurat ka kaam sirf yeh hai kay woh mard ko har tarhan sey jinsi lutf
fraham karey. Is liye humarey yahan biwi sirf husband ko jinsi lutf
fraham karney wali ek machine hai jisey khud jinsi lutf ki zaroorat
nahi. Humarey yahan aurat ka jinsi lutf hasil karna mayoob (bura) samjha
jata hai. Halan kay Allah ney jinsi milap mein husband aur wife donon
kay liye sukoon rakha hai. Chunkay humarey muasharey mein aurat ka sex
sey lutf andoz hona acha nahi samjha jata, jiski wajah sey aurat ki
jinsi taskeen ka bandobast ya koshish nahi ki jati. Jiski wajah sey
aurat shadeed frustration ka shikar hoti hai aur ghar mein laraii
jhagrey hotey hain.
Puri duniya mein sex ko ek gandi aur na pasandeeda cheez samjha jata hai. (Dastoor) Isliye khawateen kay bohut sey jinsi masail ki bari wajah yehi ghalat tasawwur hai. Islam mein baghaer nikah kay jinsi amal na
sirf buri aur gandi cheez hai bul kay bohut bara gunah (sin) hai. Jab
kay nikah kay baad jinsi amal na sirf gandi cheez nahi bul kay ek
pasandeeda amal hai. Jisko Allah kay nabi Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ney
sadqa aur naeki qarar diya hai. Nikah kay baad jinsi amal mein shareek
ho kar husband wife donon ajar aur sawab kay mustahiq ho jatey hain.
Kya Aurat Sex Ko Pasand Nahi Karti?
Logon mein ek aam khayal yeh bhi paya jata hai kay aurtein sex ko zyada pasand nahi kartiin. Iss khayal ki ek bari
wajah yeh hai kay mubashrat (Intercourse) kay doran khawateen active
kay bajaey passive role ada karti hain. Yani foreplay aur mubashrat
(Intercourse) kay doran aurtein amooman khamosh leti rehti hain. Zinda
lash ki tarhan, iss doran jo karna hai mard ney karna hai. Khawateen
khwahish kay bawajood mubashrat (Intercourse) meinsexually active kirdar
ada nahi kartiin. Issi tarhan hamarey yahan aurat amooman pehel nahi
karti. Doosrey mafroozon ki tarhan yeh bhi ek ghalat mafrooza hai. Kyun
kay mard aur aurat donon hi sex ko pasand kartey hain. Donon mubashrat
(Intercourse) kay khwahishmand hain lekin mashriqi sharm o haya aur ilm
ki kami ki wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein active role play
nahi karti. Agar aap ko waqaee sex na pasand hai ya iss sey nafrat hai
to foran kisi mahir e nafsiyat sey raabta karein ta kay.
woh apka
nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun
kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal
ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada
karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde)
Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?
Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh baat bitha di gaee hai
ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat nahi kartey ya unko
pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh baat na sirf mashriq
mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss baat ki koi haqeeqat
nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada comfortable feel kartey
hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein dilchaspi leti hain.
(Angelis)
Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot?
Yeh
baat bar bar suni jati hai kay aurton mein jinsi khwahish (sexual
desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat mein chahey janey ki
khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak jinsi khwahish (libido)
ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch researchers ka khayal hai
kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber hain aur kuch ka khayal
hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada hai. Darasal aurat mein
mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard mein mubashrat (Intercourse)
ki. 'Woman wants to talk man wants to do'. Lehaza science kay mutabiq
yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein jinsi jazbat mard sey 8 guna
zyada hain. (Zakir: Hyde)
|
|
visit
ReplyDeleteoriginal extra hard herbal oil in pakistan