Tahem sexually sensitivity kay lehaz sey pistaan (Breast) ka
number 3rd hai jiska size kay sath koi ta'alluq nahi. Agarcha big
pistaan (Breast) dekhney mein khubsoorat lagtey hain (Har shakhs ko
nahi) magar aurat ki bharpoor azdawaji zindagi mein pistaan (Breast)
size ki koi khas ahmiyat nahi bul kay tareeqa ahem hai. Jinka ham apni
next book "Azdawaji Khushiyan" mein tafseel ka sath zikar karaingai.
(Dastoor)
Chotey Pistaan (Breast) Mein Doodh Ki Kami Hoti Hai?
Kuch arsa pehley ek sahib ney mujhey call ki. Inki new
marriage thee. Woh apni wife ka pistaan (Breast) size kay hawaley sey
fikarmand thay jo kay unkay khayal mein bohut hi chotay thay. Inko
bataya gaya kay pistaan (Breast) size kay aurat ki jinsi zindagi kay
sath koi ta'alluq nahi. Inko asal fikar iss baat ki thee kay inn mein
itna milk aa jaey ga kay inn ka babies ka pait bhar sakey. Yani woh
bharpoor andaz sey apney bachon ko feed kar sakey gi. Pistaan (Breast)
chahey kitna hi chotey kyun na ho milk paeda karney mein kotahi nahi
kartey hain. Kisi aur wajah sey milk mein kami ho sakti hai magar
pistaan (Breast) kay chotey honay sey milk mein kami nahi hoti.
Khawateen Mein Musht Zani: (Female Masturbation)
Mardon ki tarhan aurtein bhi sexual satisfaction kay liye
khud lazzati karti hain. Famous researcher Kinsey ka mutabiq mardon kay
muqabley mein aurtein kam musht zani(masturbation) karti hain.
Original extra hard herbal oil in pakistan
ReplyDelete