ABORTION (ASQAAT-E-HAMAL)

ABORTION (ASQAAT-E-HAMAL)

MISCARRIAGE:

Har hamal normal andaz mein paya e takmeel tak nahin pohonchta 10% haamla aurton kay bachey fitri tor per zaya ho jatey hain isey aam zuban mein miscarriage kehtey hain mukhtalif research sey ma'aloom hua hai kay 75% miscarriages hamal kay pehley teen maheenon mein hotey hain, miscarriage honey waley bachon ki aksaryat normal nahin hoti isliye qudrat unhein khud hi zaya kar kay waledaen ko bari pareshani sey bacha leti hai. Miscarriage aur bachpan mein faut honay waley bachon mein aksaryat larkon ki hoti hai.

ABORTION:

Agar bachey ko khud zaya kya jaey ya doctor ki madad sey zaya karwaya jaey to isey abortion kaha jata hai. Abortion ki ka'ee wajoohaat hain amooman naja'ez bachey zaya karwaey jatey hain ba'az auqaat aurat ya khandaan mazeed bachey nahin chahtey magar aurat haamla ho jati hai isliye bhi bachey zaya kardiye jatey hain. Isi tarah ba'az aurton ko betey ki khwahish hoti hai magar mukhtalif tests sey maan ko maaloom ho jata hai kay woh larkey ki bajaey larki ko paal rahi hai to iss surat mein bhi abortion kara li jati hai. Meri ek client khatoon bohut der kay ba'ad haamla huiin unn kay bachey barey barey they ab unko naey bachey ki aamad sey sharmindagi ho rahi thi to unhon ney abortion kara liya jo kay beta tha phir unhein shadeed ehsaas e gunah hua kay  Khuda ney mujhey betey ki surat mein naemat di magar meine na shukri ki ehsaas e gunah iss qadar zyada tha kay woh pagal ho gaee'n adviyat sey elaj karaya gaya to behter ho gaee'n magar dawa chortey hi phir wahi pehle wali kaifiyat ho jati kyun kay adviyat masley ko khatam nahin kartiin bul kay amooman daba deti hain. Humney nafsiyati elaj ki madad sey unn kay ehsaas e gunah ko khatam kya to woh Khuda kay fazal sey bilkul normal ho gaee'n ba'az auqaat maa'n ko bachaney kay liye abortion kara li jati hai. Islam mein maa'n ki sehat kay paesh e nazar abortion kay elawa har tarah ki abortion gunah hai.

Allah kay nabi kareem ney abortion ko qatal qarar diya hai Islam mein qatal gunah e kabira hai. Humarey ba'az qadeem fuqha aur unn kay paerou'n aur ba'az mojooda ulmaa ney pehley teen maah kay ander ander abortion ko jaez qarar diya hai. In fuqha ka khayal hai kay inn dinon bachey mein jaan nahin hoti aur yeh jaan 12 hafton kay ba'ad daali jati hai inn ki yeh baat bilkul ghalat hai kyun kay baeza jun'hi baar aawar hota hai iss mein jaan parr jati hai agar iss mein jaan na ho to phir iski barhwatri kaisey hoti hai na janey iss saada si baat sey kyun sarf e nazar kya gaya doosrey alfaaz mein abortion humesha insani qatal hai chahey woh ek din ka hamal ho.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...