Different Size Of Testicles - Khusyon Ka Size

Khusyon (Testicles) Ka Size:
Baaz naujawan apney Khusyon ki jisamat kay hawaley sey fikar mand hotey hain. Aam tor per tasawwur kiya jata hai ka chotey size kay Khusyon wala insan jinsi tor per kamzor hota hai. Essi tarhan scrotum agar tani honay ka bajai dheli dhali aur latki hui ho ya bhi jinsi kamzori ki alamat samjhi jati hai. Jabka haqeeqat yeh hai ka testicles ka size yeh theli ki jild ki lachak ka jinsi quwwat kay sath koi ta'alluq nahi.
Khusyon (Testicles) Ki Golion Ka Ooper Neechey Hona:
Kuch naujawan isliye bhi pareshan hotey hain ka enka testis ki golian kabhi ooper chali jatin hain aur kabhi neechey. Es hawaley sey pareshan hona ki zarorat nahi kyun ka yeh kisi kharabi ki alamat nahi bul kay aik normal physiological process hai. Darasal Sperms testis mein paeda hotey hain. Enka zinda rahna ka liye zarori hai ka testis ka temperature jism sey kuch kam ho. Kyun ka agar testis ka temperature jism ka
temperature ka baraber hojaiga to sperm marjaingai aur insan yeh to aulad paeda na kar sakaiga aur agar aulad hogi bhi to yeh zyada tar larkian hongi. Fitrat nai es silsilai mein aisa nizam banaya hai ka sardion mein yeh golian ooper jism ka kareeb chali jatin hain taqai required temperature barqarar rahey kyun ka zyada thandhak bhi sperms ka liye nuqsan deh hai aur garmion mein yeh golian jism sey door neechey chali jati hain taqai enka temperature jism ka temperature sey kam rahey aur sperms ko koi nuqsan na pohnchey. Yad rahey kay hiddat (heat) sperms ki dushman hai.
Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles)
Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuch bari hoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde)

3 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...