Musht Zani Per Control - (Stop Masturbation)

Agarcha musht zani kisi bhi tarah sey nuqsan deh nahin magar phir bhi aap isey control karna chahein to aisa kar saktey hain, kam az kam iss ki ta'adaad (frequency) ko kam kya ja sakta hai. Iss soorat mein amooman ehtelam mein izafa ho jata hai. Jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin.
  1. Musht zani ko control karney ka sab sey mu'asser aur aasan zarya shadi hai. Jab fard shadi kar leta hai to phir uski mani kharij hoti rehti hai jis ki wajah sey woh musht zani karney per majboor nahin hota. Shaadi kay ba'ad yeh aadat khud ba khud khatam ho jati hai. Isliye Allah kay Nabi ney jald shaadi karney ki taakeed farmaee hai.
  2. Gandi filmein, kahaniya'n, fahash kutub, tasaweer, naghmaat aur suhbat sey bachein. Yeh cheezein fard mein jinsi haejaan paeda karti hain aur phir fard musht zani karney per majboor ho jata hai.
  3. Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta'adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
  4. Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
  5. Rafah e aamma kay kaamo'n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho'n ki madad karein.
  6. Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta'adaad (frequency) kam ho jaey gi.
  7. Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino'n kay ander musht zani ki ta'adaad kafi kam ho jaey gi.
  8. Aksar naujawan ek khaas ta'adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta'adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga
  9. Istasna (exception) ka istemaal kar lein yani note karein kay jab aap musht zani nahin kartey to kya kartey, phir wahi mazeed karein, maslan ek larkey ko jab bbhi musht zani ki khwahish hoti to woh koi mazhabi kitab parhney lagta, doston sey milney julney chala jata waghaera. Isey kaha jaey ga kay woh inn cheezon ko zyada karey to uski yeh aadat bohut kam ho jaey gi.
  10. Jab bhi musht zani ki khwahish ho to laziman naey kaprey pehnein [hir musht zani karein.
  11. Ju'nhi musht zani ki khwahish paeda ho to foran na karein bul kay usey adha ghanta late kar lein.
  12. Yeh bohut hi mu'asser tariqa hai, agar isey munasib tor per istemal kya jaey to musht zani ko aasani sey control kya ja sakta hai.
a. Aaram sey kisi jagah beth jaein.
b. Aankhein bund kar lein, jism ko dheel achor dein, 10 lambey saans lein.
c. Ab tasawwur karein kay aap apni pasandeeda jagah mein musht zani karney lagey hain aur aap ka hath apney zakar ki taraf ja raha hai magar musht zani nahin karni, tasawwur ko bara aur roshan banaein.
d. Pehli tasweer ko ek taraf kar dein, ab doosra tasawwur karein kay ek aur 'aap' hain, usi jagah bethey hain magar musht zani ko dil nahin kar raha. Khwahish hi nahin hai, aap bohut khush hain kay aap ko apney aap per control hai. Iss tasawwur ko bhi bara aur roshan (bright) banaein.
e. Ab doosri ba'ad wali tasweer ko chota kartey jaein hutta kay yeh ek nuqta ban jaey, aap ney aksar TV per dekha hoga kay bari tasveer sukarr kar nuqta ban jati hai aur nuqta phel kar tasveer ban jati hai.
f. Ab iss nuqtey ko pehli tasweer kay darmiyan mein rakhein aur 'shoo'n' ki aawaz nikal kar iss nuqtey ko taezi kay sath phela dein kay yeh tasveer ko dhaa'np ley. Iss tarah yeh mushq 10 baar karlein, ba'ad aza'n dobara karlein. Agar aap nuqtey ko phelaney mein chund seconds sey zyada waqt leingey to yeh tariqa mu'asser na hoga. Lehaza nuqta ko bohut taezi kay sath sath phaelaein. Allah kay Nabi ney hum naujawano'n ko hukum diya kay woh roza rakhein kyun kay yeh qata'e shahoot hai.

7 comments:

  1. This is best Mujhe 6 saal o Raha hai nai chor sakta Hun aur kuch is k ilava Islamic

    ReplyDelete
  2. Sir ma nay kafi try kiya hai k is ko chor do but har dafa fail ho jata hon.

    ReplyDelete
  3. kya is k lye koy pills nahi ati jis se ahsas koch time k lye khatam ho jaye or hum chah k bhi na kar sake...plz bataye q k meri sehat bht zada mutasir ho rahi h is cheez se or ma koch bhi nahi kar pa raha chah k bhu its my humble requear

    ReplyDelete
  4. Alhumdulillah kaafi control ha

    ReplyDelete
  5. aLhumdulillah bht control hai

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...