Merey ek sathi mahir e nafsiyat Syed Sabir Hussain ney apna ek case
merey sath discuss kara. Barey miyan shadeed tanhaee aur depression ka
shikar thay. Nafsiyati elaj kay doran maloom hua kay inki biwi bhi hayat
hain aur issi ghar mein mojood hain magar donon alag alag rooms mein
sotey hain aur donon tanhaee ka shikar hai. Hamarey yahan bad qismati
sey samjha jata hai kay old age parents ko sex ki zaroorat nahi. Jiski
wajah sey inn becharon ko mubashrat (Intercourse) kay liye tanhaee nahi
milti. Awwal to donon ko alag rooms mein sona parta hai ya phir maa
(mother) ek son kay pass rehti hai aur father doosrey son kay pass. Iss
tarhan donon na sirf jinsi lutf sey mehroom rehtey hain bul kay shadeed
tanhaee ka shikar ho kay waqt sey pehley hi maut ki wadi mein gum ho
jatey hain. Bohut si researches sey yeh baat sabit ho chuki hai kay old
age logon ko bhi aam jawanon ki tarhan sex ki zarorat hai. Kyun kay
bharpoor jinsi zindagi sey na sirf sehat behter hoti hai bul kay age
mein bhi izafa hota hai. Iss kay elawa mardon mein arthritis, prostate
aur heart attack kay masail bhi kam ho jatey hain. Lehaza zehni sukoon,
achi sehat aur lambi umer kay liye old age logon ko week mein ek bar
zaror mubashrat (Intercourse) sey luft andoz hona chahiyie.
Agar koi old age insan taqreeban 60 days tak mubashrat (Intercourse) sey mahroom rahey to phir shayad hi kabhi dubara mubashrat (Intercourse) ka kabil ho sakai. Aik usul hai use it or loose it. (Hyde: Time)
Agar koi old age insan taqreeban 60 days tak mubashrat (Intercourse) sey mahroom rahey to phir shayad hi kabhi dubara mubashrat (Intercourse) ka kabil ho sakai. Aik usul hai use it or loose it. (Hyde: Time)
visit
ReplyDeleteoriginal extra hard herbal oil in pakistan