Sex Education in Urdu





Birth Control In Islam - Zabt e Wiladat
    5.  Aurton mein infertility ki ek ahem wajah umar ki zyaditi hai 35 year ki umar kay baad aurat ki pregnancy honay ki salahiyat kam ho jati hai.
  Apni biwi ki kharabi ko jannay kay liye kisi mahir doctor sey rabta karian khawateen ki bohut si bemariyan qabil-e-elaj hain.
  Zabt e Wiladat (Birth Control In Islam)
  Birth control per ahl e ilm mein ikhtilaf hai. Baaz ulma kay nazdeek Islam mein birth control ki ijazat nahi hai. Allah Ta'ala nay Quran mein irshad farmaya:
"Qatal naa karo apni aulad ko muflisi ki wajah sey, hum tumhein bhi rizq detey hain aur un ko bhi"
(Al-Inaam 151)
Baaz doosrey ulma kay nazdeek birth control ki gunjaesh hai kyun kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney apney daur mein birth control sey sahaba karam ko manaa nahi farmaya (bukhari, muslim) kuch ulma kay naazdeek muflisi kay darr sey birth control haram hai jab kay doosri soorton mein jaez hai. 
Birth control amooman neechey di gaee wajoohaat ki bina per ki jati hai. 
  1. Iss khayal sey kay zyada bachon ko khilaen gey kahan sey? ghurbat ka khauf.
  2. Aksar parents khandan ko chota rakhna chahtey hain, ta kay woh inn ki behter parwarish aur taleem o tarbiyat kar sakein. Zyada bachon ki dekh bhaal aur inki taleem o tarbiyat qadrey mushkil ho jati hai.
Vaginismus - Adumdakhool
Adumdakhool (Vaginismus)
    Faisalabad ki 23 year old Naazli jab merey paas elaj kay liye aai to iss ki shadi ko 9 month hogaey thay. Magar abhi tak mubashrat (intercourse)  nahi hui.thi Mian biwi iss masley ki wajah sey sakht pareshan thay. Donon mian biwi merey samney bethey ro rahey thay. Mubashrat (intercourse) kay waqt Naazli bey hud khauf zada ho jati. Iss kay khauf ko door kya gaya phir iss ko faraj mein ungli dakhil karney wali mushq bataee gaee. Jab iss nay 2 fingers apni faraj mein baghaer takleef kay dakhil karliin to inn ko mubashrat (intercourse) kay liye kaha gaya magar dakhool mukammal naa ho saka kyun kay isey bohut takleef hui. Khatoon doctor ney checkup kay baad bataya kay iss ka parda e bakarat (Hymen) puri tarhan phutt (ruptured) nahi hua hai. Chunancha mamooli sey operaation sey parda-e-bakarat (Hymen) ko mukammal tor per khatam kar diya gaya. Kuch days baad woh mubashrat (intercourse)  mein kamiyab hogai. Woh bohut khush tahi aur phune kar kay naazli nay mujhey bhi iss khushi mein shareek kiya.
    Vaginismus mein aurat ki faraj kay entrance kay muscles ghaer iradi tor per shrink kar jaatey hain jis ki wajah sey dakhool naamumkin hojata hai. Aisi aurtein jinsi lehaz sey bilkul normal hoti hain. Foreplay sey khoob lutf andooz hoti hain. Magar jonhi dakhool ka waqt ata hai to woh shadeed khauf ka shikar hojaati hain aur faraj ka mu'nh band ho jata hai. Vaginismus ki ziyada tar wajoohat nafsiyaati aur kabhi kabhar jismani bhi hoti hain. Yeh beemari bohut kam hai. Merey paas abhi tak iss tarhan kay sirf 3 case aaey hain. Ek couple ki shadi ko 7 saal ho chukay thay magar abhi tak mubashrat (intercourse)  nahi ho saki. Iss ka elaj jari hai.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...