Infertility Causes In Women - Banjhpan Ki Wajah















 Infertility Causes - Banjhpan Ki Wajah
 Apney infertility causes (banjhpan ki wajah) jannay kay liye aap apni mani (semen) ka tajziya karaein. Behter hai kay mani (semen) lab mein hi nikali jaey. Ghar sey ley janay ki soorat mein amooman result sahi nahi ata. Agar ghar sey ley jana zaroori ho to aap 15min kay ander ander isey lab mein pohncha dein. Agar aap mein kharabi hai to last result nikalney sey pehley kam az kam ek aur lab sey mani (semen) ka test karwaein. Agar donon report sey maloom ho kay kharabi aap mein hai to bhi pur sukoon rahein aur kisi achey urologist sey milein. Aaj kal aisi medicines market mein aa chuki hain jin ki madad sey iss masley ko hal kya ja sakta hai.

Agar aap kay sperm ki tadaad kam hai to following baaton sey bhi faida uthaya ja sakta hai. 
  1. Cigarette noshi sperm ki dushman hai. Ek research sey pata chalta hai kay cigarette noshi sey 15% sperm kam hojaatey hain. Iss kay elwa cigarette noshi ki wajah sey sperm ovum kay ander dakhil nahi hosakta, jis ki wajah sey ovum bar awar naa hoga. Lehaza agar aap cigarette noshi kartey hain to husool-e-aulad kay liye chor dein.
  2. Sharab noshi bhi sperm kay liay nuqsan dey hai. Iss sey sperm khusoosan naazuk Y sperm mar jaatey hain. Chunancha sharab noshi bhi tark kardein. Sharabnoshi gunah e  kabeera hai.
  3. Apney weight ko kam karein. Motapey ki sorat mein khusyey jism kay saath lagey rehtey hain. Jis ki wajah sey in ka darja e hararat barh jata hai aur iss sey sperm mar jatey hain research sey maloom hua hai kay motey aadmi kay khusyey ka darja  e hararat nisbatan zyada hota hai jis ki wajah sey bohut sey sperm mar jatey hain.
 Sperm Count
    4.  Khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat sey kam hota hai. Agar in ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojaey to bhi sperms mar jatey hain. Agar aap tight dresses khusoosan tight underwear pehentey hain to aap kay khusyey aksar auqat aap kay jism kay sath lagey rehtey hain jis ki wajah sey khusyey ka darja e hararat jism kay darja e hararat kay baraber hojata hai jo kay sperms kay liye nuqsandeh hai. Lehaza khula libas pehnein khusoosan garmiyom mein aap kay khusyey zyada der jism kay sath na lagey rahein.

    5.  Garmi sperms ki dushman hai. Lehaza garam pani mein zyada der tak naa bethein, zyada der tak garam pani sey na bath lein, apney khusyey ko thanda rakhein. Jab bhi bath room jaein khusyey per 1 – 2 minute kay liye thanda pani dalein. Aag kay qareeb kaam karney walon kay han aksar larkiyan paeda hoti hain. Garmi sey Y chromosomes jald mar jatey hain.

    6.  Jo log rozana zyada driving kartey hain, engine ki garmi ki wajah sey inn kay sehatmand sperm count kam ho jata hai. Iss kay liye apney neechey hawa dar seat rakhein. Har 1 yeh 2 hours baad  khusyon ko cold pani sey wash karein.

    7.  Diet mutawazin ho jis mein sarey vitamin khusoosan vitamin A, aur vitamin E ka zyada use ho.

    8.  Ek research sey maloom hua hai kay zyada run aur cycle chalaney sey 2 week mein Sperm Count 29% kam ho jati hai. Yani bohut zyada exercise bhi sperms kay liye nuqsandeh sabit hogi.
        Infertility Causes In Women - Banjhpan Ki Wajah
    9.  Baaz chemicals maslan karm kash medicine, glycol ether jo ka printing aur gond waghaera bananey mein use hota hain bhi sperms kay liye nuqsandeh hain. Karm kash medicine ka spray kartey waqt khusoosi ahtiyat ki zaroorat hai.
    10.  Research ma yeh bhi maloom hua hai kay computer kay samney zyada der bethney sey bhi sperm ki tadad kam hojati hai jis ki wajah sey aisey afraad kay han aksar larkiyan paeda hoti hai.
    11.  Zehni  stress bhi sperm ka bohut bara dushman hai. Yeh sperm kay count ko kam karta hai. Lehaza iss sey bachein aur hamesha pursukoon rahnay ki koshish karein.

Infertility Causes In Women

Doosri sorat mein kharabi apki biwi mein hai jis ki wajah sey woh haamla nahi horahi. Yeh kharabi kaee tarha ki ho sakti hai.
    maslan...
  1. Ba'eza raezi hoti hi nahi yeh kabhi kabhar hoti hai. Woh aurtein jin ko sugar ho to en ko yeh masla ho jata hai.
  2. Aap ki biwi ki qazif naliyan band hain yeh en naliyun mein koi kharabi hai.
  3. Aurat kay faraj mein koi kharabi hai jis ki wajah sey sperm mar jatey hain ya aagey nahi ja saktey.
  4. Baaz auqat ovulation kay baad egg bachey dani mein nahi aasakta.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...