Important Misconceptions About Sex
Humarey mu'aashrey mein sex kay hawaley sey beyshumar ghalat fehmiyan paee jati hain, jin ki wajah sey naujawan nasal bohot sey jinsi masail ka shikar hai. Hum ney apni book "Sex Education----Sab Kay Liye" mein 100 kay qareeb jinsi mughalton ki asal haqeeqat tafseel kay sath beyan ki hai. Ahl-e-lim ka khayal hai kay har naujawan ko shadi sey pehley inn sey aagah hona zarori hai ta kay woh azdwajii zindagi sey bharpoor lutf andoz ho sakey. Iss book mein inn tamam mughalton ka tafseeli zikar mumkin nahi behter hai kay mazeed malomat kay liye humari book "Sex Education---Sab Kay Liye" ka muta'alla kar liya jaey ta hum baaz ahem ghalat fehmiyon ka mukhtasir zikar kiya jata hai.
1. Ehtelam: (Nocturnal Ejaculation)
Iss sey muraad sotey huey khwab ya khwab kay baghair peeshab kay rastay mani(semen) ka ikhraj hai. Jin afrad ko mubashrat (intercourse) ya khud lazzati (masturbation) ka kasrat sai moqa nahi milta unko ehtelam ho jata hai. Yeh amal 8,10 saal ki umar sey shuru ho sakta hai. Yeh koi jinsi bemari nahi bul kay ek normal aur sehat mand uzwiati (organic) amal ya kaifiyat hai, jis kay barey mein pareshan honey ki zaroorat nahi. Yeh rozana ho sakta hai bul kay aik hi raat mein aik sey ziyada bar bhi.
No comments:
Post a Comment