Jinsi
khwahish (libido) ko poora karney kay liye mard sab sey zyada paesha
war aurton tawaif kay paas jatey hain, inn mein aksar aurtein beemaar
hoti hain jin sey sozak, aatishik aur AIDS jaisi mohlik aur khatarnaak
beemari lagney ka qawi imkan hota hai, inn sey her soorat bachna
chahiyie. Ba'az naujawan apni jinsi salahiyat ko check karney kay liye
paeshawar aurton kay paas jatey hain. Mardana quwwat ko check karney ka
yeh budtareen tariqa hai. Jab bhi koi fard shaoori tor per apni mardana
taqat check karney ki koshish karta hai to woh khauf aur ehsas e gunah
ki wajah sey akser nakaam rehta hai. Usko ya to tanau (erection) hota
hi nahin ya phir jaldi khatam ho jata hai, ya phir jald inzaal ho jata
hai hala'n kay jawani mein taqreeban koi bhi fard mardana tor per
kamzor nahin hota. Jis fard ko kisi bhi waqt tanau (erection) hota hai
who bilkul normal hota hai, kharabi uskay dimagh mein hoti hai jis kay
liye neem hakeem ya doctor ki bajaey mahir e nafsiyat sey elaj ki
zaroorat hoti hai.
Parda In Islam And Quran In Urdu - Parda In Pakistan And India
Parda In Islam And Quran In Urdu - Parda In Pakistan And India
- Zina ki bohut bari wajah bey parda mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada jinsi beyrahrawi (sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain. Pardey daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta.
- Makhloot talim bhi zina ka ek ahem sabab hai. Makhloot talim mein naujawan larkey aur larkiyon ko milney kay mawaqae zyada miltey hain. Larkey, larkiyon ko flirt kartey hain aur larkiyan ishq aur shadi kay laluch mein apni esmat ga'nwa bethti hain.
- Makhloot majalis jinsi beyrahrawi ka ek bara zarya hai. America kay woh elaqey maslan California jahan aurat aur mard kay milney kay zyada mawaqae hain wahan jinsi beyrahrawi zyada hai aur talaq ki sharah bhi baqi mulk kay muqabley mein zyada hai.America mein amooman talaq ki sharah 50% sey zyada hai jab kay California mein 4 shadiyon mein sey 3 talaq per khatam hoti hain yani wahan talaq ki sharah 75% hai. Merey paas taqreeban har maah ek do case aisey zaroor aatey hain jahan makhloot majalis ki wajah sey doosri aurat ya mard mein involve ho jatey hain aur ghar bachaney kay liye humari madad talb kartey hain na janey woh shadi shuda log kitney hain jo humarey paas nahin aatey aur jinsi beyrahrawi (sexual perversion) mein mubtala rehtey hain . Iss tarah na janey kitney ghar khamoshi sey ujarr jatey hain.
- Cousin culture: humarey haan amooman bachiyan apney cousin larkon kay sath mael jol mein kuch zyada hi frank ho jati hain aur ghanto'n alaehdgi mein gupshup karti hain jis ki wajah sey larkon ko unhein flirt karney kay mawaqae mil jatey hain, iss tarah bohut si bachiyan inn cousins kay hathon lutt jati hain. Hala'n kay Allah kay Nabi ney sagey jawan behen bhaee ko bhi tanhayee mein bethney sey mana farmaya hai. Isi tarah bohut sey behnoee apni saaliyon sey flirt karney ki koshish kartey hain aur iss gunah kay murtakib hotey hain.
- Jinsi beyrahrawi ka ek aur bara sabab khawateen ka mardon kay sath kaam karna hai. Secretary level ki ek khatoon CSP officer ney mujhey bataya kay mardon kay sath kam karney wali kam az kam 50% aurtein apni izzat bachaney mein nakaam rehti hain, isliye nurses aur istaqbalia (reception) per kaam karney wali khawateen kay liye apni asmat bachana naa mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Taqreeban 100% mulazimat paesha khawateen mardon ki jinsi harassment ka shikar hoti hain.
-
Lack Of Adequate Sex Education In Female
- Barey shehron mein jinsi beyrahrawi ki ek bari wajah mard tutor hain. Bohut sey gharaney apni jawan larkiyon ko mard hazraat sey tuition parhwatey hain. Budqismati sey taqreeban har mard bachiyon ko phuslaney ki koshish karta hai. Ek naujawan larkey aur larki ko ghanton ikatthey bethney ka moqa dey kar yeh tawaqqa rakhna kay kharabi na hogi saadgi ya himaqat ki inteha hai. Ghee aag kay paas para ho aur phir bhi na pighley….na mumkin. merey paas gahey ba gahey iss tarah kay cases aatey rehtey hain.
- Budqismati sey humarey haan sex education nahin hai jis ki wajah sey taqreeban 70% sey zyada khawateen jinsi tor per mutmaen nahin hotiin. Dunya mein sex kay ek bohut barey muhaqqiq Alfred Kinsey ney Calcutta mein ek lecture kay doran kaha kay Asian aurat maan banti hai hutta kay dadi, nani ban jati hai magar woh saari umer orgasm (jinsi lutf) hasil nahin karti. Aisi aurtein shadeed frustration ka shikar hoti hain. Aisi aurton mein kuch sabar, shukar kar leti hain, kuch nafsiyati beemariyon ka shikar ho jati hain aur kuch jinsi beyrahrawi mein mubtala ho jati hain. Merey paas ek 40 sala khatoon aaee'n unhon ney mujhey bataya kay woh saari umer kabhi jinsi tor per mutmaen na huiin aur ab unka gunah karney ko dil chahta hai. Na janey kitni aurtein iss wajah sey gunah mein mulawwis ho jati hain. Hum iss hawaley sey Lahore aur doosrey shehron mein har maah ek roza seminar/workshop ka intezam kartey hain jis mein azdawaji zindagi ko zyada purlutf bananey, biwi ko mutmaen karney aur ghareloo zindagi ko khushgawar bananey kay tips batatey hain.
Homosexuality - Zana Ke Wajoohat
9. Aaj
kal jinsi beyrahravi ki ek ahem wajah internet chatting aur phone per
gupshup hai. Bohut sey afraad ek planning kay tehet bholi bhali
bachiyon ko warghalatey hain, maan baap ko chahiyie kay koshish karein
kay ghar mein jawan bachiyan phone attend na karein bul kay
koi mard ya bari umr ki khatoon phone sunein. Iss tarah internet
istaemal karney waley bachon ki nigraani ki jaey ta'kay woh iska ghalat
istaemal na kar sakein. Amooman larkey larkiyan ban kar larkiyon sey
gupshup kartey hain aur phir waqt per larki ko asli soorat-e-haal sey
aagah kartey hain. Ab inn haalaat mein larki kay liye peechey hutna
mushkil ho jata hai iss tarah paesha war aurtein naujawan larkonka
shikar karti hain.
No comments:
Post a Comment