TAKLEEF DE MUBASHRAT (PAINFULL INTERCOURSE)

TAKLEEF DE MUBASHRAT

(PAINFULL INTERCOURSE)

Aam haalaat mein mubashrat ek bohut hi purlutf amal hai jis sey donon mian biwi bey panaah lazzat aur sukoon hasil kartey hain agarcha pehli mubashrat amooman donon mian biwi kay liye kuch takleef ka baa'iss hoti hai khusoosan dulhan zyada takleef mehsoos karti hai aur agar parda e bakarat (hymen) phatey to zakhm ko mundamil honay mein chund din lag jatey hain. Iss tarah pehli chund mubashratein aurat kay liye kuch takleef deh hoti hain, uss kay ba'ad lutf hi lutf, magar ba'az khwateen ko iss kay ba'ad bhi mubashrat mein takleef hoti hai dard amooman kisi jismani kharabi ko zahir karta hai. Iss surat mein pehley marhaley mein kisi achi doctor sey apna tafseeli mua'aina karwaein orgasm hasil na karney kay ba'ad khawateen ki yeh doosri aam jinsi beemaari hai. Takleef deh mubashrat ki ek wajah ek beemari bhi hai iss beemaari mein aurat mubashrat mein takleef mehsoos karti hai iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan faraj mein infection ho, mubashrat kay waqt faraj mein chiknahat ki kami bhi ek wajah hoti hai. Iss ka sabab yeh hota hai kay aurat kay jinsi jazbaat poori tarah nahin ubhrey hotey aisi surat mein biwi kay jinsi jazbaat ko khoob ubhara jaey jab jazbaat khoob ubhar jatey hain to faraj mein zyada chiknahat ho jati hai phir dakhool aur mubashrat aasaan ho jati hai. Ta'hum mubashrat ko mazeed aaraam deh bananey kay liye masnoo'ee chiknahat ko bhi istaemal kiya jaey maslan.

EHTIYATI TADABEER:

Khawand mubashrat kay waqt zakar ko chikna karey to phir mubashrat mein dard na hoga. Ba'az auqaat condom kay ooper laga hua chemical ya koi cheez maslan sabun waghaera allergy ka sabab ban jata hai jis sey mubashrat mein takleef hoti hai aisi surat mein inn ka istaemaal bund kar kay dekhein ba'az auqaat kisi wajah sey bacha daani, bacha daani kay mu'nh ya qazif naaliyon mein infection ya tumor hota hai jo kay dard ka sabab banta hai. Iss kay elawa bachay ki paeda'esh kay ba'ad bachey daani mein zakham ki wajah sey bhi mubashrat takleef deh ho sakti hai umar kay barhney ki wajah sey faraj mein ratoobat ki kami aur faraj ki deewaarein patli ho jati hain to mubashrat mein dard hota hai. Ta'hum jab bhi mubashrat mein dard ho to kisi achi doctor sey raabta karein muaaeney kay waqt usey bataein kay mubashrat kay kis marhaley mein aur kis jagah dard hota hai.

Takleef deh mubashrat mein amooman teen maqamaat per dard hota hai.

  • Faraj (vagina) kay dahaney mein yani dakhool kay waqt. 
  • Gehrey dakhool mein stroke lagatey huey.
  • Bazer (clitoris) mein.
Agar dard faraj kay dahaney mein hota hai to iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan infection, zakham aur allergy waghaera agar faraj ka dahana humesha bohut hassas hota hai aur iss mein budbuu daar mawad zyada miqdaar mein nikalta hai to yeh koi khatarnaak beemaari ho sakti hai iss surat mein fori tor per doctor sey raabta kya jaey. Ba'az auqaat shadeed jinsi jazbaat ki wajah sey faraj kay dahaney mein zyada khoon chala jata hai jis sey faraj ka mu'nh sooj kar tung ho jata hai aur mubashrat takleef deh ho jati hai aisi surat mein jinsi jazbaat ki shiddat zyada honay sey pehlay dakhool ho jaey iss kay elawa agar bazer ko mushta'il kya jaey to faraj ka dahana tung ho jata hai aur agar faraj ko mushta'il kya jaey to faraj relax ho jati hai. To iss surat mein foreplay mein bazer ki bajaey faraj ko mushta'il kya jaey to faraj relax hogi aur mubashrat takleef deh na hogi. Doosri surat mein gehrey dakhool mein jhatkey lagtey waqt aurat ko takleef hoti hai iss ki ek aam wajah yeh hoti hai kay ba'az positions mein zakar bacha daani ya bacha daani kay mu'nh ko zarab lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai agar jinsi jazbaat poori tarah na ubhrey hun to ba'az khawateen ko gehrey dakhool mein ba'az auqaat takleef hoti hai aur kabhi baeza daani faraj ki pichli deewar aur bacha daani kay darmiyan aa jati hai jis ki wajah sey zakar kay stroke sey uss per daba'u parta hai jis sey mubashrat takleef deh ho jati hai. Ba'az aurton ki faraj baeza raezi kay waqt zyada hassas ho jati hai aur phir gehrey dakhool mein aurat takleef mehsoos karti hai iss kay elaj kay liye mubashrat ki woh position tark kardein jo takleef ka baa'iss ho iss kay elawa doctor sey bhi raabta kya jaey. Ba'az khawateen ko bazer ko mushta'il karney sey sukht takleef hoti hai agar yeh dard haal hi mein shuru hua ho to bazer aur uss kay dhakney ko achi tarah khud check kar lein iss kay liye aa'eney ko istaemaal karein agar yeh surkh aur sooja hua hai to shayad  khawand ya zaati ishte'aal ki wajah sey wahan zakhan ho gaya hai aur woh sooj gaya hai. Iss surat mein ek hafta sex aur foreplay sey perhaez karein to yeh theek ho jaey ga warna doctor ko dikhaein. Bazer kay dard ki ek bari wajah chiknahat kay baghaer isey mushta'il karna hai le'haza isey aa'enda humesha chiknahat kay sath hi mushta'il kya jaey. Ta'hum orgasm kay ba'ad aksar aurton ka bazer bohut hassas aur takleef deh ho jata hai. Yeh bilkul normal cheez hai agar bazer per koi zakham ho to foran kisi doctor ko dikahein. Agar do teen doctors kay mua'aeney kay ba'ad koi jismani wajah samney na aaey to phir iss masley ki wajah nafsiyati ya jazbaati hoti hai amooman aisi aurtein apni jinsi zindagi sey ghaer mutmain hoti hain. Jinsi dilchaspi mein kami ya adam dilchaspi bhi ek wajah ho sakti hai. Ba'az khawateen mu'aashirey mein phaeley huey jinsi mughalito'n ki wajah sey bhi shadeed khauf ka shikaar ho jati hain aur iss khauf mein faraj ka mu'nh tung ho jata hai jis ki wajah sey mubashrat takleef deh ho jati hai aisi surat mein kisi achey mahir-e-nafsiyat sey elaj ki zaroorat hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...