Umar aor Sex k barey mai Galat Mafroozat

 2 Baar Mubashrat (Intercourse) Sey 1 Saal Umer (age) Kam Hojati Hai?

Hamid mera ek naujawan mareez tha. Jiski haal hi mein shadi hui. 4 months guzarney kay bawajood woh abhi tak mubashrat na kar saka. Shuru mein hamid ko mardana kamzori ka masla tha. Baad mein woh theek hogaya to phir biwi kay masley ki wajha sey azdawaji ta'alluqat qaim na kar saka. Junhi hamid mubashrat (Intercourse) ki koshish karta uski biwi ka sara jism akarr jata aur uski vagina ka munh bilkul band ho jata aur hamid dakhool (penetration) na kar sakta. Aurton ki iss beemari ko vaginismus kaha jata hai. Talaq tak ki nobat pohonch gaee. Magar hamarey 5 sessions kay baad inka kaam ho gaya. Uski biwi yehi lafz istimal karti hai. Ek session mein hamid ney mujh sey pucha kay ab 2 bar mubashrat (Intercourse) karney sey insan ki age 1 year kam ho jati hai. Mein ney pucha kay tumko kisney bataya. Iss ney kaha kay iss kay walid ney isko musalsal 2 bar mubashrat (Intercourse) karney sey mana kya hai kyun kay iss sey age kam ho jati hai. Yeh bhi ek na maqool mafrooza hai. Jiski koi scientific haqeeqat nahi. Aksar naujawan shaadi kay initial months mein ek raat mein 3 sey 4 bar mubashrat (Intercourse) kar letey hain jis sey kisi tarhan ka koi nuqsan nahi hota. (Mobeen: Hyde)
Mubashrat (Intercourse) Jitni Kam, Umer (age) Utni Zyada?

Hamarey yahan ek dilchasp sexual misconception hai kay husband wife jitna kam mubashrat (Intercourse) karein gey inki umer (age) utni hi lambi hogi. Doosrey alfaz mein mubashrat jitni zyada hogi umer utni hi kam hojaey gi. Hamarey yahan zyada ter isi usool per amal kya jata hai aur mubashrat (Intercourse) sey perhaiz kar kay umer ko zyada karney ki koshish ki jati hai. Phir bhi hamarey yahan average age 56 sey aagey nahi barhti hai. Dusri taraf developed countries mein hamarey muqabley mein bohut zyada mubashrat (Intercourse) hoti hai magar wahan per average age 70 years sey zyada hai. West mein iss mozou per bohut research ho chuki hai. Jis sey yeh dilchasp haqeeqat saamney aaee hai kay woh log jo kam mubashrat (Intercourse) kartey hain inki age unn logon sey kam hai jo zyada mubashrat kartey hain. (Time)

60 Saal Kay Baad Jinsi Jazbat Aur Jinsi Quwwat Khatam Hojati Hai?

Doosrey bohut sey mafrozon ki tarhan yeh bhi ek nehayat ghalat aur ahemaqana mafrooza hai jiski koi haqeeqat nahi. Age barhney kay sath sath insan kay jinsi amal mein kuch tabdeeliyan aa jati hain. Tahem agar insan ki general sehat theek hai to woh martey dam tak mubashrat (Intercourse) kay qabil hota hai. Famous actor Charlie Chaplin 80 saal ki age mein ek week mein 3 ya 4 bar sex (mubashrat) sey luft andoz hota tha.

Hite ki report sey bhi yeh baat samney aaee hai kay baaz 80 years kay mard ek week mein 4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) kar letey hain. Ek aur survey sey maloom hua hai kay 37% old age Americans week mein 1 bar mubashrat (Intercourse) zaroor kartey hain. Baaz mard 60 saal ki umer kay baad ek din mein 2 bar bhi mubashrat (Intercourse) kar letey hain. Ek sey zyada researches sey yeh baat samney aaee hai kay aam log old age mein sex sey zyada lutf andoz hotey hain. (Hyde) albatta burhapey mein tanau (erection) zara der sey hota hai. Naujawan aadmi 3 sey 5 seconds mein tanau (erection) hasil kar leta hai. Jab kay 50 years ki age mein tanau (erection) kay liye dugna time aur 70 saal ki umer (age) mein 3 guna time chahiyie. Baaz auqat biwi ko husband kay penis ko stimulate karna parta hai. Tanau (erection) bhi jawani ki nisbat kam hota hai magar insan dakhool (penetration) kay qabil hota hai. Achi baat yeh hai kay insan ko inzal (ejaculation) per nisbatan zyada control hota hai. Baaz auqat inzal (ejaculation) hota hi nahi. Yeh sab kuch normal hai. Iss tarhan aurton kay vagina mein secretion zara der sey ati hai jo kay jawani mein jald aa jati hai.

Old age mein mardon aur aurton ka jinsi hormone ki miqdaar 30 years ki age kay muqabley mein kam ho jati hai. Jinsi hormone ki kami ki wajah sey insan ki jinsi khwahish(libido) aur tanau (erection) mein qadrey kami ho jati hai. Magar yeh hormone kabhi khatam nahi hotey aur insan martey dam tak sex (mubashrat) aur bachey paeda karney kay qabil hota hai. (Hyde) Albatta 5% mardon kay jinsi hormone testosterone ki kami zara zyada hojati hai jiski wajha sey enhai tanau (erection) nahi hota.

Yeh kami testosterone ley kar puri ki ja sakti hai. Magar iss hormone ka baghaer kami kay lena nuqsan deh hota hai. Ek recent research ka mutabiq 80% sey zyada age ka healthy afraad mein 65% mard aur 30% aurtein jinsi tor per active hai. (Hyde)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...