Islami Talimat Aur Jinsi Zindagi (Sexual Life In Islam)
Islam ek mukammal zabta e hayat hai jiss ney apney paero kaaro'n ko
zindagi kay har shobey mein rehnumaee fraham ki hai. "Jinsi Zindagi"
(sexual life) insaani zindagi ka ahem tareen pehlu hai. Chunancha Allah
ney Hazrat Adam kay sath Amma Hawwa ko paeda farmaya. Quran Majeed
mein irshad hai kay, "uss ney tumharey liye tumhari hi jins sey
biwiya'n bana'een ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo" (Surah
Rome Ayat 21) Isi liye Allah kay nabi ney farmaya kay nikah meri sunnat
hai jiss ney iss per amal na kiya woh hum mein sey nahin. Hazrat
Muhammad ney ek aur jagah farmaya "Allah haq baat kehney sey nahin
sharmata". Chunancha Quran mein jinsi zindagi kay ahem usolo'n maslan
shaadi (marriage), mubashrat (intercourse), mubashrat kay tariqey (sex
positions), mani (seminal fluid), rehem e madar, haez (menses),
Umar aor Sex k barey mai Galat Mafroozat
2 Baar Mubashrat (Intercourse) Sey 1 Saal Umer (age) Kam Hojati Hai?
Hamid mera ek naujawan mareez tha. Jiski haal hi mein shadi hui. 4 months guzarney kay bawajood woh abhi tak mubashrat na kar saka. Shuru mein hamid ko mardana kamzori ka masla tha. Baad mein woh theek hogaya to phir biwi kay masley ki wajha sey azdawaji ta'alluqat qaim na kar saka. Junhi hamid mubashrat (Intercourse) ki koshish karta uski biwi ka sara jism akarr jata aur uski vagina ka munh bilkul band ho jata aur hamid dakhool (penetration) na kar sakta. Aurton ki iss beemari ko vaginismus kaha jata hai. Talaq tak
Hamid mera ek naujawan mareez tha. Jiski haal hi mein shadi hui. 4 months guzarney kay bawajood woh abhi tak mubashrat na kar saka. Shuru mein hamid ko mardana kamzori ka masla tha. Baad mein woh theek hogaya to phir biwi kay masley ki wajha sey azdawaji ta'alluqat qaim na kar saka. Junhi hamid mubashrat (Intercourse) ki koshish karta uski biwi ka sara jism akarr jata aur uski vagina ka munh bilkul band ho jata aur hamid dakhool (penetration) na kar sakta. Aurton ki iss beemari ko vaginismus kaha jata hai. Talaq tak
Kiya Boorhon (Old Age) Ko Sex Ki Zaroorat Nahi?
Merey ek sathi mahir e nafsiyat Syed Sabir Hussain ney apna ek case
merey sath discuss kara. Barey miyan shadeed tanhaee aur depression ka
shikar thay. Nafsiyati elaj kay doran maloom hua kay inki biwi bhi hayat
hain aur issi ghar mein mojood hain magar donon alag alag rooms mein
sotey hain aur donon tanhaee ka shikar hai. Hamarey yahan bad qismati
sey samjha jata hai kay old age parents ko sex ki zaroorat nahi. Jiski
wajah sey inn becharon ko mubashrat (Intercourse) kay liye tanhaee nahi
milti. Awwal to donon ko alag
Premature Ejaculation - Mardana Jinsi Kamzori
Sur'at e Inzaal (Premature Ejaculation) Mardana Kamzori Ki Alamat?
Aik research ka mutabiq America mein 75% mard 2.5 to 3.5 minutes
mein inzal (ejaculation) hasil kar letey hain magar bohut sey log half
minute mein hi ejaculate kar letey hain. Hamarey yahan premature
ejaculation ka masla bohut aam hai. Aksar logon ka khayal hai kay
premature ejaculation mardana jinsi kamzori ki alamat hai. Usually
mardana taqat sey murad tanau (erection) liya jata hai. Mardon mein
tanau (erection) ka
Sex Tonic And Health - Jinsi Tonic Aur Taqat
Jinsi Tonic Aur Adviyat (medicine) Jinsi Taqat Mein Izafa Karti Hain?
Yeh mafrooza bhi bilkul ghalat hai. Kisi bhi qism ka sex tonic
insan ki mardana jinsi quwwat mein mustaqil izafa nahi karta. Sex tonic
yeh adviyat (medicine) ka sexual strength kay sath directly koi
ta'alluq nahi. Naam nehad sex tonic 3 tarah sey kam kartey hain.
- Afioon ki tarhan insan ki mental state ko badal detey hain jiski wajha sey inzal (ejaculation) jaldi nahi hota.
- Penis mein khoon circulation ko zyada kar detey hain jis sey fard ko tanau (erection) ho jata hai.
- Penis ki nali mein irritation paeda kartey hain jis sey mard ko zyada lutf ata hai.
Doosrey alfaz mein koi bhi tonic ya adviyat (medicine) sexual strength mein mustaqil izafa nahi karti.
Male Potency Drugs - Mardana Quwwat Ki Adviyat
Mardana quwwat kay liye jitni bhi adviyat (drugs) hain
yeh sab penis mein khoon circulation ko zyada kar kay tanau (erection)
paeda karti hain. Inn mein viagra khas kar ma'aroof hai. Yeh aik achi
dawa (drug) hai magar yeh bhi khud ba khud tanau (erection) paeda nahi
karti bul kay iss kay liye sexual stimulation ki zaroorat hai. Mardana quwwat
ki adviyat (drugs) har fard kay liye suitable nahi. Specially heart,
kidneys, blood pressure kay patients kay liye yeh mohlik hai. Viagra
sey ab tak ek andazey kay mutabiq 30 death ho chuki hain. Iss kay elawa
yeh dawa hamesha kamiyab nahi hoti hai. Viagra ki kamiyabi ka ratio
80% hai. Iss hawaley sey ahtiyat ki zarorat hai. Sirf patent adviyat
(drugs) hi estimal kari jain. Aaj kal herbal adviyat (drugs) famous
horahi hain. Inn adviyat (drugs) mein sey aksar mein viagra hi shamil
hoti hai. Magar aksar adviyat (drugs) ka asar nafsiyati hota hai.
Weekly Times kay mutabiq ek bar phir yeh sabit ho chuka hai kay 90% sex
insan kay dimagh mein hota hai chunacha aksar masail aur inn ka hal
nafsiyati hota hai.
Musht Zani In Urdu - Masturbation - Musht Zani In Islam. Khud lazzati. Masturbation
Misconceptions About Masturbation
26
sala Asif elaj kay liye merey clinic aaya. Masley ki tafseel batatey
huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka hai. Din ba din uski
mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh biwi kay qabil nahin
raha. Usey shadeed ehsaas e gunah bhi tha, ek baar khudkushi ki koshish
bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh musht zani (masturbation) ka
shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor nahin saka.
Mani (semen) kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya khud lazzati aur
musht zani hai isey hathrasi, dastkashi aur handpractice bhi kaha jata
hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)