2 Baar Mubashrat (Intercourse) Sey 1 Saal Umer (age) Kam Hojati Hai?
Hamid mera ek naujawan mareez tha. Jiski haal hi mein shadi hui. 4 months guzarney kay bawajood woh abhi tak mubashrat na kar saka. Shuru mein hamid ko mardana kamzori ka masla tha. Baad mein woh theek hogaya to phir biwi kay masley ki wajha sey azdawaji ta'alluqat qaim na kar saka. Junhi hamid mubashrat (Intercourse) ki koshish karta uski biwi ka sara jism akarr jata aur uski vagina ka munh bilkul band ho jata aur hamid dakhool (penetration) na kar sakta. Aurton ki iss beemari ko vaginismus kaha jata hai. Talaq tak ki nobat pohonch gaee. Magar hamarey 5 sessions kay baad inka kaam ho gaya. Uski biwi yehi lafz istimal karti hai. Ek session mein hamid ney mujh sey pucha kay ab 2 bar mubashrat (Intercourse) karney sey insan ki age 1 year kam ho jati hai. Mein ney pucha kay tumko kisney bataya. Iss ney kaha kay iss kay walid ney isko musalsal 2 bar mubashrat (Intercourse) karney sey mana kya hai kyun kay iss sey age kam ho jati hai. Yeh bhi ek na maqool mafrooza hai. Jiski koi scientific haqeeqat nahi. Aksar naujawan shaadi kay initial months mein ek raat mein 3 sey 4 bar mubashrat (Intercourse) kar letey hain jis sey kisi tarhan ka koi nuqsan nahi hota. (Mobeen: Hyde)

Mubashrat (Intercourse) Jitni Kam, Umer (age)  Utni Zyada?
    Hamarey yahan ek dilchasp sexual misconception hai kay husband wife 
jitna kam  mubashrat (Intercourse) karein gey inki umer (age) utni hi 
lambi hogi.  Doosrey alfaz mein mubashrat jitni zyada hogi umer utni hi 
kam hojaey  gi. Hamarey yahan zyada ter isi usool per amal kya jata hai 
aur  mubashrat (Intercourse) sey perhaiz kar kay umer ko zyada karney ki
  koshish ki jati hai. Phir bhi hamarey yahan average age 56 sey aagey  
nahi barhti hai. Dusri taraf developed countries mein hamarey muqabley  
mein bohut zyada mubashrat (Intercourse) hoti hai magar wahan per  
average age 70 years sey zyada hai. West mein iss mozou per bohut  
research ho chuki hai. Jis sey yeh dilchasp haqeeqat saamney aaee hai  
kay woh log jo kam mubashrat (Intercourse) kartey hain inki age unn  
logon sey kam hai jo zyada mubashrat kartey hain. (Time) 
60 Saal Kay Baad Jinsi Jazbat Aur Jinsi Quwwat Khatam Hojati Hai? 
    Doosrey bohut sey mafrozon ki tarhan yeh bhi ek  nehayat ghalat aur 
ahemaqana mafrooza hai jiski koi haqeeqat nahi. Age  barhney kay sath 
sath insan kay jinsi amal mein kuch tabdeeliyan aa jati hain. Tahem  
agar insan ki general sehat theek hai to woh martey dam tak mubashrat  
(Intercourse) kay qabil hota hai. Famous actor Charlie Chaplin 80 saal  
ki age mein ek week mein 3 ya 4 bar sex (mubashrat) sey luft andoz hota 
 tha.
Hite ki report sey bhi yeh baat samney 
aaee hai kay  baaz 80 years kay mard ek week mein 4 sey 5 baar mubashrat
 (Intercourse)  kar letey hain. Ek aur survey sey maloom hua hai kay 37%
 old age  Americans week mein 1 bar mubashrat (Intercourse) zaroor 
kartey hain.  Baaz mard 60 saal ki umer kay baad ek din mein 2 bar bhi 
mubashrat  (Intercourse) kar letey hain. Ek sey zyada researches sey yeh
 baat  samney aaee hai kay aam log old age mein sex sey zyada lutf andoz
 hotey  hain. (Hyde) albatta burhapey mein tanau (erection) zara der sey
 hota hai. Naujawan aadmi  3 sey 5 seconds mein tanau (erection) hasil 
kar leta hai. Jab kay 50  years ki age mein tanau (erection) kay liye 
dugna time aur 70 saal ki  umer (age) mein 3 guna time chahiyie. Baaz 
auqat biwi ko husband kay penis ko stimulate karna parta hai. Tanau 
(erection)  bhi jawani ki nisbat kam hota hai magar insan dakhool 
(penetration) kay  qabil hota hai. Achi baat yeh hai kay insan ko inzal 
(ejaculation) per  nisbatan zyada control hota hai. Baaz auqat inzal 
(ejaculation) hota hi nahi. Yeh sab kuch normal hai.  Iss tarhan aurton 
kay vagina mein secretion zara der sey ati hai jo kay  jawani mein jald 
aa jati hai.  
    Old age mein mardon aur aurton 
ka jinsi hormone  ki miqdaar 30 years ki age kay muqabley mein kam ho 
jati hai. Jinsi  hormone ki kami ki wajah sey insan ki jinsi 
khwahish(libido) aur tanau (erection) mein qadrey kami ho  jati hai. 
Magar yeh hormone kabhi khatam nahi hotey aur insan martey dam  tak sex 
(mubashrat) aur bachey paeda karney kay qabil hota hai. (Hyde)  Albatta 
5% mardon kay jinsi hormone testosterone ki kami zara zyada hojati hai 
jiski  wajha sey enhai tanau (erection) nahi hota.
Yeh
 kami testosterone ley kar puri ki ja sakti hai. Magar iss  hormone ka 
baghaer kami kay lena nuqsan deh hota hai. Ek recent  research ka 
mutabiq 80% sey zyada age ka healthy afraad mein 65% mard  aur 30% 
aurtein jinsi tor per active hai. (Hyde)
Watch funny Video
ReplyDelete